Sunday, December 4, 2011

kisi ko uski buraiyan mat batao balke agar batana hi he to ye batao ki ye wali achchaiya aap ke andar agar thodi aur badh jayen to kitna achcha rahe... usay batao ki aap ke andar ye ye achchaiya mujhe chahiye...

Thursday, October 21, 2010

know me????

Shaklon ko dekhte ho
warasaton ko dekhte ho
Insan ko nahi, us se waaston ko dekhte ho.
Mumkin nahi ke tum mujhe pehchan jao ae dost,
ke tum meri Manzil ko nahi Raaston ko dekhte ho.

Sunday, January 31, 2010

Jab hum dua ker rahe hote hain, toa hamare uncouncious mind me 3 darr hote hein

1. Agar Dua kabool ho gayee to... jaise aap maang rahe hain ke aye Allah meri saari zindagi apni ibadat mein laga de, toa apka mann bolega ki kya keh raha hai, agar kabool ho gayee toa gaya phir sab kuchh.

2.Agar ho jaye to bh theek na ho toa bhi theek.. jaise ya Allah sab theek rahe, sab ki mushkile door ho jayen wagera.

3. Agr N kabul huee toa kya hoga. Ek darr, jab aap ko lage ki agar Allah ne meri ye dua na kabool ki toa mein barbad ho jaunga.

Bus yeh teesri hi dua hai jo kabul hoti hi hoti hai.

Hum khud sochein ki hum kya mangte hain aur kya chahte hain.

Tuesday, January 26, 2010

nazron se naa perkho mujhe,

samjho zara dil mein basa ke,

mein kya hoon ye na poochh mere raston se

mujhe jaan le o dilber meri manzil pe aake.

time lagta he per khud sher banane mein alag hi maza hai.

my thoughts

Any person has two decisions to make- Career and Dream. The one you decide first decide the other. Unfortunately most people decide career ahead of dream and end up average.